Kitna janta tha kitna pahechanta tha....
Nai janta mai kitna usse manta tha...
Kandho pe jab uska ZANAZA leke jaa raha tha..
Tab ahesaas hone laga ki vo mera bhai tha...
Paheli baar kisi bina kapde ki maiyaat ko apne haatho se uthana...
Or paheli baar kisi ke liye QABR me utarna ...
Kya ye sab ek ittefaaq tha...?
Ya mera Ahesaas tha...?
Samay ne bhi ajeeb sa khel khela tha...
Muje janm din ki Mubarakbaad aa rahi thi or mai kisi ki maut ke gam me khoya tha...
Samaj nahi aa raha tha ki khud ke paida hone ka jashn hai yaa...
Yaa, kisi ki maut ka shok...
Har taraf dikh rahe the aankho me ashq liye hue log..
Na maine marne waale se itni baat ki thi apni zindagi or na itni mulakat....
Par fir bhi kuch to tha... ha tha jo rakha tha hame saath...
Shayad vo bachpan ke jhagde...ya shayad vo badepan ki tareefe thi...
Warna kya tha aisa jo muje kheechta hua le gaya jaha tere hisse ki mitti thi...
Tuje khone ke gam ka to pata nahi par tere na hone ka ahesaas aayega...shayad tu bahot durr chala gaya jaha se teri khabar ki to koi ummid nahi hai par teri yaad jaroor aayegi........
Pata nai kya tha hamare beech me mere bhai jo mai ye sab likhne pe majboor ho gaya... jane kitne bhi din hum bitaye saath me...chahe kitni bhi kam baat kare hum...tu hamesha mera bhai tha, hai or rahega...
Galti se bhi galti hui ho to maaf kardena ...
May allah bless you with all his mercy and you enjoy the lights of the heaven.
Wrote this words to express my feelings for my brother...whom we lost just one day before my birthday. I don't know whether it is right to write this or not, but if I don't then I will loose my self withing me..
1 comment:
R.I.P Shahrukh...
Post a Comment